Namumkin Kuchh bhi nahin Khud par Aitmaad karna Seekho Powerful Motivation
Namumkin kuchh bhi nahi. Khud par aitmaad karna seekho
Aur zidi ban jao. Jo ye samjh gya wo jeet gya.
Khud Par Aitmaad
Zindgi mein ham kai baar mushklon ka saamna karte hain ,
aur kai baar aisa lagta hai k kuchh bhi mumkin nahin.
Lekin aik cheez jo hamein har mushkil se nikalne mein madad karti hai
wo hai khud par aitmaad.
Na mumkin kuchh bhi nahin hai
jab aap apni taqat pe bharosa karte hain
aur apni manzil tak pohnchne ka jazba rakhte hain
Dosto zindgi jeene 2 he tareeke hain
Aik jo ho rha hai use hone do
Bardaasht karte jao
Ya phir zimadari uthao use badlne ki
Q k mushklaat ka saamna karne ka naam zindgi
Aur un par ghalib aa jane ka naam kamyabi hai
Haar ho jati hai
jab maan liya jata hai
Jeet tab hoti hai
Jab than liya jata hai.
Agar tum sote rhe gaiy
Agar tum ne kuchh na kiya
To tumhare sapne phir koi aur pore kar jai ga.
Apne Aap ko samajhna aur pehchan’na
jab ham apne upar aitmaad karte hain.
tab ham apni asal taqat ko samajhte hain,
hamari soch, hamara atitude,aur hamara belief system
hamare faisle aur hamari success ko
shape karte hain.
har insaan k andar apni apni taqat hoti hai.
Aur khud par aitmaad us taqat ko jagata hai
Jis trah tofaan aik mazbot pathar ko nahin hila sakta
Bilkul isi trah agar apko apni zaat par aitmaad hai
To aap har tofaan se takra sakte hain
Har mushkil ka saamna kar sakte hain
Lekin yaad rakhna k
Khud aitmadi aur ghamand mein
Both kam farq hota hai
Main kar sakta hon
Ye mera khud par aitmaad hai
Sirf mein he kar sakta hon
Ye mera ghamand hai.
Na Mumkin Kuchh Bhi Nahin Hai
na mumkin kuchh bhi nahin hai ka matlab
ye nahin hai k har cheez asaan hogi.
lekin jab ham khud par bharosa karte hain
to ham har mushkil ko apne liye aik
naye challenge k roop mein dekhte hain.
ham samajhte hain k har problem ka solution hai
bas us solution ko dhondne ki zarorat hai
Ham jo karte hain
Wo hamein kabhi ghalat nahin lagta
Hamein sirf wo ghalat lagta hai
Jo dosre karte hain.
Dosron ki ghaltiyaan nikaalna
Both asaan hai
Par apne girebaan mein
To koi jhaankta nahin.
Is liye apni zindgi ka asool banao k
Aina jab bhi uthaya karo
Pehle dekha karo phir dikhaya karo.
Q k har insaan dil ka bura
Aur bewafa nahin hota
Bujh jata hai diya tel ki kami se
Har baar qasoor hawa ka nahin hota.
Zindgi mein hamesha
Dilon jeetne ka maqsad rakhna
Warna dunya jeet kar to
Sikandar bhi khaali haath gya tha.
Paise kamain ya na kamain
Dua’ein zaror kamana
Q k is se jhompri mein bhi
Mahel wala sakoon mile ga.
Kisi se piyar karne mein kabhi bhi jaldi na karo
Aur na he kisi par bharosa karne mein tezi dikhao
Q k in donon ko umar bhar nibhana parta hai.
Agar sakoon chahte ho
To kisi ka sakon kabhi barbaad mat karo
Q k ham jo kuchh upar uchhaalte hain
Wo dogni sapeed se wapas ata hai
Phool phenke gey to phool aiga
Pathar phenke gey to pathar
“Aur zindgi mein hamesha chhoti chhoti khushyon ka istaqbaal karo
Q k in ke peechhe he mohbaton ka silaab hota hai”
Aur apnon ko hamesha
Apne hone ka ahsas dilao
Warna waqt aap ke apno ko
Aap k baghair jeena sikha dega
Kisi ne kiya khob kaha hai
Qadar wo hoti hai
Jo kisi ki mojodgi mein ho
Jo kisi k jaane k baad ho
Use pachhtawa kehte hain.
Aur zindgi mein agar logo ko apna bana kar rakhna hai
To ye baat hamesha yaad rakhna
Jis trah karwi golyaan chabai nahin
Balke nigli jaati hain
Bilkul isi trah zindgi mein
Dukh,nakaami aur dhoke jesi karwi baton ko
Seedhe nigal jain
Unhein yaad karte rhein ge
To aap ki zindgi hamesha karwi he rhe gi.